शुक्रवार, 28 अप्रैल 2023

Aaj nida sahab par ek article urdu dunia me send kya.

मेरी कश्मीर यात्रा । कश्मीर बहुत ही सुंदर जगह है इसे दुनिया का स्वर्ग भी कहा जाता है। यहां दुनिया भर के लोग आते हैं यहां की खूबसूरत वादियों में रम जाते हैं यहां बर्फ के पहाड़ देखकर दिल खुश हो जाता है यहां देखने के लिए बहुत सी सुंदर और यादगार जगह है जैसे श्रीनगर का डल झील शालीमार शालीमार और निशात बाग किसने बनाया था फ्लिपकार्ट श्रीनगर से आकर बाहर निकलते हैं तो गुलमर्ग ,सोनमार्ग पहलगाम यह सब ऐसी जगह हैं यहां आकर बड़ा सुकून महसूस करेंगे लगेगा जैसे दुनिया की जन्नत में आ गए हैं।

Chandni
kahani kis ke pyar ki suna rahi hai chandni
bataun mere kaan mein kya ga rahi hai chandni

hai pyar bantne ki cheez pyar bantte chalo
sabaq humein bhi pyar ka padha rahi hai chandni

humein bhi chahiye ke kaam aaein sab ke waqt par
andhere jag ko jaise jagmaga rahi hai chandni

nahin nazar mein koi us ki qaid zaat paat ki
sabhi ko apni roshni luta rahi hai chandni

this gazal is brodcasted by All India Radio Darbhanga on the occasion of sharad purnima

मेरी कश्मीर यात्रा । 
कश्मीर बहुत ही सुंदर जगह है इसे दुनिया का स्वर्ग भी कहा जाता है। यहां दुनिया भर के लोग आते हैं यहां की खूबसूरत वादियों में रम जाते हैं यहां बर्फ के पहाड़ देखकर दिल खुश हो जाता है यहां देखने के लिए बहुत सी सुंदर और यादगार जगह है जैसे श्रीनगर का डल झील शालीमार शालीमार और निशात बाग किसने बनाया था फ्लिपकार्ट श्रीनगर से आकर बाहर निकलते हैं तो गुलमर्ग ,सोनमार्ग पहलगाम यह सब ऐसी जगह हैं यहां आकर बड़ा सुकून महसूस करेंगे लगेगा जैसे दुनिया की जन्नत में आ गए हैं। 

शनिवार, 27 अगस्त 2011

Gham me hi jab jeena hai toh gham se phir ghabrae kaun?
manzil toh mil hi jaegi duniya ko samjhae kaun?

Tum jo ruswa bhi kar do toh main hans kar seh jaunga
sab jo shabashi hi den toh is dil ko tadpae kaun?

Kaise shahar mein aaya hun main jane kaise hain ye log
sab hain aag lagane wale jalti aag bujhae kaun?

Hansne par bhi pabandi hai rona bhi hai jurm yahan
in mushkil halat mein bolo roe ya muskaae kaun?

Mana gauher dur hai manzil mudna bhi toh theek nahin
lautne par bhi ruswai hai laut ke wapas jae kaun?
Dard uljhan wa intezaar mila
na mila chain na qarar mila

saare gulshan pe aa gayi hai bahar
aur mujhko khezan ka bar mila

jo ghamon me bhi saath saath chale
mujhko ab tak na aisa yaar mila

jab bhi socha ke muskuraenge
saara mahaul ashkbaar mila

dil mein ek phul ki tamanna thi
aur dhundha toh sirf khaar mila

jaane kyun beqarar rehta hai
ek dil woh bhi beqarar mila

dil jala aur roshni na hui
aisa mauka toh kitni baar mila

chaand taron ka khwab dekha tha
haye taqdir ke gubaar mila

dard-e-dil ki dawa ko nikla jab
teer bas ik jigar ke paar mila

mujhko khushiyaan toh na mili gauher
baar gham ka toh beshumar mila

शनिवार, 20 अगस्त 2011

Daam yahan har cheez ka dena padta hai
apna haq bhi cheen ke lena padta hai

jhagda jhanjhat maana acchi cheez nahin
waqt pe ye patwar bhi khena padta hai

ghaz bhar zameen na kaurav dena chahe gar
pandav ko phir loha lena padta hai

karbala ka qissa ye dena jaanti hai
haq ki khaatir sir bhi dena padti hai

gauher sadhu banna chahta hai lekin
makkaron ko sabaq jo dena padta hai
Naya keh ke dil ko main samjha raha hun
purane khaton ko hi dohra raha hun

har ek khat mein yeh likh ke bahla raha hun
ke main aa raha hun ke main aa raha hun

hansi jaane kis baat pe aai unko
khushi se main paagal hua jaa raha hun

batao ke ye masa'la kaise hal ho
woh uljha rahe hain main suljha raha hun


ke had ho gayi ab sharaafat ki meri
hai be parda koi main sharma raha hun

ke nafrat sikha kar ye kehta hai mulla
yehi haq hai jo kuch main farma raha hun

jiyo aaj mein kal ki baaton ko chodo
yehi kab se gauher ko samjha raha hun