शनिवार, 20 अगस्त 2011

Daam yahan har cheez ka dena padta hai
apna haq bhi cheen ke lena padta hai

jhagda jhanjhat maana acchi cheez nahin
waqt pe ye patwar bhi khena padta hai

ghaz bhar zameen na kaurav dena chahe gar
pandav ko phir loha lena padta hai

karbala ka qissa ye dena jaanti hai
haq ki khaatir sir bhi dena padti hai

gauher sadhu banna chahta hai lekin
makkaron ko sabaq jo dena padta hai

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें