Dard uljhan wa intezaar mila
na mila chain na qarar mila
saare gulshan pe aa gayi hai bahar
aur mujhko khezan ka bar mila
jo ghamon me bhi saath saath chale
mujhko ab tak na aisa yaar mila
jab bhi socha ke muskuraenge
saara mahaul ashkbaar mila
dil mein ek phul ki tamanna thi
aur dhundha toh sirf khaar mila
jaane kyun beqarar rehta hai
ek dil woh bhi beqarar mila
dil jala aur roshni na hui
aisa mauka toh kitni baar mila
chaand taron ka khwab dekha tha
haye taqdir ke gubaar mila
dard-e-dil ki dawa ko nikla jab
teer bas ik jigar ke paar mila
mujhko khushiyaan toh na mili gauher
baar gham ka toh beshumar mila
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें