Gham me hi jab jeena hai toh gham se phir ghabrae kaun?
manzil toh mil hi jaegi duniya ko samjhae kaun?
Tum jo ruswa bhi kar do toh main hans kar seh jaunga
sab jo shabashi hi den toh is dil ko tadpae kaun?
Kaise shahar mein aaya hun main jane kaise hain ye log
sab hain aag lagane wale jalti aag bujhae kaun?
Hansne par bhi pabandi hai rona bhi hai jurm yahan
in mushkil halat mein bolo roe ya muskaae kaun?
Mana gauher dur hai manzil mudna bhi toh theek nahin
lautne par bhi ruswai hai laut ke wapas jae kaun?
शनिवार, 27 अगस्त 2011
Dard uljhan wa intezaar mila
na mila chain na qarar mila
saare gulshan pe aa gayi hai bahar
aur mujhko khezan ka bar mila
jo ghamon me bhi saath saath chale
mujhko ab tak na aisa yaar mila
jab bhi socha ke muskuraenge
saara mahaul ashkbaar mila
dil mein ek phul ki tamanna thi
aur dhundha toh sirf khaar mila
jaane kyun beqarar rehta hai
ek dil woh bhi beqarar mila
dil jala aur roshni na hui
aisa mauka toh kitni baar mila
chaand taron ka khwab dekha tha
haye taqdir ke gubaar mila
dard-e-dil ki dawa ko nikla jab
teer bas ik jigar ke paar mila
mujhko khushiyaan toh na mili gauher
baar gham ka toh beshumar mila
na mila chain na qarar mila
saare gulshan pe aa gayi hai bahar
aur mujhko khezan ka bar mila
jo ghamon me bhi saath saath chale
mujhko ab tak na aisa yaar mila
jab bhi socha ke muskuraenge
saara mahaul ashkbaar mila
dil mein ek phul ki tamanna thi
aur dhundha toh sirf khaar mila
jaane kyun beqarar rehta hai
ek dil woh bhi beqarar mila
dil jala aur roshni na hui
aisa mauka toh kitni baar mila
chaand taron ka khwab dekha tha
haye taqdir ke gubaar mila
dard-e-dil ki dawa ko nikla jab
teer bas ik jigar ke paar mila
mujhko khushiyaan toh na mili gauher
baar gham ka toh beshumar mila
शनिवार, 20 अगस्त 2011
Daam yahan har cheez ka dena padta hai
apna haq bhi cheen ke lena padta hai
jhagda jhanjhat maana acchi cheez nahin
waqt pe ye patwar bhi khena padta hai
ghaz bhar zameen na kaurav dena chahe gar
pandav ko phir loha lena padta hai
karbala ka qissa ye dena jaanti hai
haq ki khaatir sir bhi dena padti hai
gauher sadhu banna chahta hai lekin
makkaron ko sabaq jo dena padta hai
apna haq bhi cheen ke lena padta hai
jhagda jhanjhat maana acchi cheez nahin
waqt pe ye patwar bhi khena padta hai
ghaz bhar zameen na kaurav dena chahe gar
pandav ko phir loha lena padta hai
karbala ka qissa ye dena jaanti hai
haq ki khaatir sir bhi dena padti hai
gauher sadhu banna chahta hai lekin
makkaron ko sabaq jo dena padta hai
Naya keh ke dil ko main samjha raha hun
purane khaton ko hi dohra raha hun
har ek khat mein yeh likh ke bahla raha hun
ke main aa raha hun ke main aa raha hun
hansi jaane kis baat pe aai unko
khushi se main paagal hua jaa raha hun
batao ke ye masa'la kaise hal ho
woh uljha rahe hain main suljha raha hun
ke had ho gayi ab sharaafat ki meri
hai be parda koi main sharma raha hun
ke nafrat sikha kar ye kehta hai mulla
yehi haq hai jo kuch main farma raha hun
jiyo aaj mein kal ki baaton ko chodo
yehi kab se gauher ko samjha raha hun
purane khaton ko hi dohra raha hun
har ek khat mein yeh likh ke bahla raha hun
ke main aa raha hun ke main aa raha hun
hansi jaane kis baat pe aai unko
khushi se main paagal hua jaa raha hun
batao ke ye masa'la kaise hal ho
woh uljha rahe hain main suljha raha hun
ke had ho gayi ab sharaafat ki meri
hai be parda koi main sharma raha hun
ke nafrat sikha kar ye kehta hai mulla
yehi haq hai jo kuch main farma raha hun
jiyo aaj mein kal ki baaton ko chodo
yehi kab se gauher ko samjha raha hun
सदस्यता लें
संदेश (Atom)